Saturday, August 20, 2011

LOKPALayan


Chaal hai tedi
Dagmagai hui si
Hosh hai besudh
Ladkhadae hue se
Sans hai adhuri
Bheegi hui si
Simat ti karahti
Tilmila ke fir bhi

Jagti hai
Hasti hai aur manti hai
Ki jana hai ab mujhe
Us par nadia ke
Jab mujhe jhukna na padega
Apne hi haq k lie
Jab kalkothri na mujhe bandh paegi
aur na rok sakegi mujhe hazaro ki fauz
kyunki ab ladai mei nahi lad raha hu
mei to sirf ek zaria hu tum sabka

zindagi tumhari ab mei nahi jee raha
kyunki haq hai ye tumhara aur koshish bhi
 taqat hai ye tumhari aur paisa bhi

par fir bhi kyu
hum mare til til ke 
aur wo hanse khil khil ke
bharath ne hai ek hunkar kia
safed vastro ne chadai hai prachanda

Lekin tarkash bhi apna 
aur ban bhi 
sadhna hai to lakshya
jisko mitana aur jiska ankho se mitna
hai sirf ek hi hath me
hath hai wo hamara
kyunki
desh hai yeh hamara 

1 comment:

  1. how cool, keep it up.

    Greetings: Glad to visit your poetry island to enjoy your talented writing today.

    Hope all is well….

    We are celebrating one year anniversary, wish to invite you to join us today, first time participants are encouraged to share 1 to 3 random poems or Haikus with us today,

    Hope to see you in!

    You Deserve The Best!

    Bless your Tuesday!

    xoxox

    ReplyDelete

You are important and whatever you do think counts a lot to me.Do empty your head.
In case of a lack of blogger account,scroll down for facebook account from where you can comment.

facebook

Conquered

The world is a stage

free counters

Interesting hmm

Blog Widget by LinkWithin