Saturday, August 28, 2010

aghaz



Dhad dadate hue kadmo se
taptapati hui nazro se
Saans ki lagam ka aghaz ho hi chuka tha

Sard dopahri me
andheri rat me
ye paigam bas bik hi chuka tha

Ek jeet thi woh
aur ek har hai yeh

kar raha hu taiyari
ab na hosh na khumari

hai agar to sirf ek darr
hona chahie tha jaha junoon

par pata hai mujhe ki fir se
mei banunga sher
ithlate hue mausam ka
karunga ek sir pair
Bade hue darr ko
mei hi karunga dher

kehlaunga gair
ya kehlaunga ek apna
chilaega mera akrosh
aur dabega mera darr

jab fir se ek bar
mei kasunga apni kamar
kamar us ant k lie
jiski shuruat bhi
aur ant bhi
likhunga bas mei

~Harsha
-----------------------------------------------------------------------------------------
Image courtsey:fearless by Pandarice
check this link for more of his work:http://pandarice.deviantart.com/art/fearless-32838883#

1 comment:

You are important and whatever you do think counts a lot to me.Do empty your head.
In case of a lack of blogger account,scroll down for facebook account from where you can comment.

facebook

Conquered

The world is a stage

free counters

Interesting hmm

Blog Widget by LinkWithin