Sunday, December 28, 2014

Sachai

Gat parigat Hai sheersh tera
Nam Hai ye tujhko mastak mera
Dhruti abhi samati nahi
Itni si bat satati nahi
Hai shaqal Teri ya akal meri
Sab saath gaanth ki kahani yahi
Hinsa kar Tu ya reh shant prachand
Kar karm kar ya sun Rona apna
Par jeet ta Hai wahi jiska vash me ho uska man apna
Aye bahut dhurundar sakal
Par reh gae bina sakth akal
Agar Hai Tu bhogi aur Tu vinashak
Par man me Hai kapat aur chal atyant
Na khalega tab na tikega tab
Kyunki ant dekhta Hai wahi
Jisme ho vivek aur shant srijan
Chahe agar Tu ant saral to vipda bhi reh k na aegi
Jeet ki vela tham jaegi
Kyunki din har na harta Hai
Chah k bhi hare na darta Hai
Ahankar beech me apna sir gadata Hai
Chota sa pyada bhi vazir ban jata Hai
Shrishti na aise hi soti Hai
Virat vikral ban k roti Hai
Jo Tu dar gaya to Tu dhungega bhagwan
Aur jo na Dara to banega sachha insan
Soch Hai tere hi hatho me
Chah Hai Teri hi bato me
Har din na jeet hoti Hai
Par jis din har hoti Hai
Sachai aur aukat usi din
Samajh me ati hai

No comments:

Post a Comment

You are important and whatever you do think counts a lot to me.Do empty your head.
In case of a lack of blogger account,scroll down for facebook account from where you can comment.

facebook

Conquered

The world is a stage

free counters

Interesting hmm

Blog Widget by LinkWithin